Posts

Showing posts from April, 2020

ROZEDAAR KE LIYE DO KHUSHIYAAN

Image
RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAYHE WASALLAM NE IRSHAAD FARMAYA: Rozedaar ke liye do khushiyaan hasil hoti hai,  Ek us waqt jab wo iftaar karta hai to khushi mehsoos krta haI Aur dusra jab wo apni Rab se mulakaat krega to roze ka shwaab dekh kar khus ho jayega.  (SHAHI BUKHARI SHAREEF)

BUKHARI SHAREEF-6981

Image
Allah ke Rasool SALLALLAHU ALAYHE WASALLAM ne irshaad farmaya:Jannat ke ek darwaja hai jise Rayaan kehte hai. Us darwaje se kayaamat ke din Rozadaar hi daakhil honge.

Surah Baqara Aayat No 1 to 3...Quran ki sirf 3 Aayat Tarjuma K Sath Sune...

Image

Jo shakhs Subah Aur Sham Madjid Jata Hai

Image
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke RasoolAllah  ﷺ ne irshaad farmaya: Jo shakhs subah aur shaam masjid jaata hai Allah Ta'ala uske liye jannat mein mehmaani ka intezaam farmaate hain jitni martaba subah ya shaam masjid jaata hai utni hi martaba Allah Ta'ala uske liye mehmaani ka intezaam farmaate hain.  (Bukhari: 662)

SALATUL TASBEEH NAMAZ KI FAZILAT AUR PADHNE KA TARIQA

Image
SALATUL TASBEEH KI FAZILAT O TARIQA HUZOOR E AKRAM ﷺ ne apne chacha hazrat abbas رضي الله عنه ko is namaz ki targheeb farmayi, is namaz k padhne se ALLAH TA’ALA padhne waley k agley pichle, naye puraney, ghalti se aur jaan boojh kar kiye huye chote badey aur zahiri aur poshida sab gunah bakshdega Aur HUZOOR E AKRAM ﷺ ne inhey farmaya k agar har roz ek baar padh sakey to har roz padhle aur agar har roz nahi padh sakey to har jumu’a me ek martaba padhle aur agar har jumu’a me bhi na padh sakey to har mahine me ek baar padhley aur agar ye bhi na kar sakey to har saal me ek martaba padhley aur agar ye bhi na kar sakey to tamaam umr me ek dafa padhley. (ABU DAWOOD, IBNE HAKI, IBNE MAAJA) TARIQA: Is namaz ki tasbeeh, سبحان الله والحمدلله ولااله الاالله والله اكبر. Chaar rakaat salatul tasbeeh ki niyaat se chaar rakaat ek salaam se padhey. Sana padhne k baad اعوذ بالله من الشیطان الرجیم aur بسم الله الرحمن الرحيم se pehle 15 martaba tasbeeh padhey (jo upar di gayi hai)