Posts

Showing posts from September, 2020

GHUSL KA SAHI TARIQA

Image
  Agar kisi ko khwab mein gandagi nikal jaati hai (wet dream), ya haath se koi gandagi nikaal deta hai – masturbate (haath se nikalna gunah hai), ya miya-biwi saath  humbistari karte hain, ya ladki periods  (menstrual) ho jaati hai to uske baad wo na-paak ho jaate hain, iske liye ghusl karna zaruri ho jata hai. Naa-paak hone ke baad insan na namaz padh sakte hain na Quran sharif ko haath laga sakta hain, isliye na-paak hone ke baad ghusl karna (nahana) zaruri hai, ghusl jitni jaldi kar lo utna accha hai. Ghusl sirf saade nahane ko nahi kahte balki ghusl ka ek khaas tarika hota hai. Ghusl sunnat tariqe se bhi ho jaata hai aur agar sirf uske farz bhi pure kar liye to ghusl ho jayega, Mujhe jo aasan tarika laga mein wo bata raha hu. Sabse pahle dil mein niyat kar lijiye ki mein naa-paaki ko door karne ke liye ghusl kar raha hu (lafz muh se kehna zaruri nahi dil mein irada kar lena kaafi hai). Ab apne badan ki wo jagah dho lijiye jaha gandagi lagi hai, phir jese wuzu karte hain, pura wuzu