GHUSL KA SAHI TARIQA

 


Agar kisi ko khwab mein gandagi nikal jaati hai (wet dream), ya haath se koi gandagi nikaal deta hai – masturbate (haath se nikalna gunah hai), ya miya-biwi saath  humbistari karte hain, ya ladki periods  (menstrual) ho jaati hai to uske baad wo na-paak ho jaate hain, iske liye ghusl karna zaruri ho jata hai.

Naa-paak hone ke baad insan na namaz padh sakte hain na Quran sharif ko haath laga sakta hain, isliye na-paak hone ke baad ghusl karna (nahana) zaruri hai, ghusl jitni jaldi kar lo utna accha hai. Ghusl sirf saade nahane ko nahi kahte balki ghusl ka ek khaas tarika hota hai. Ghusl sunnat tariqe se bhi ho jaata hai aur agar sirf uske farz bhi pure kar liye to ghusl ho jayega, Mujhe jo aasan tarika laga mein wo bata raha hu.

Sabse pahle dil mein niyat kar lijiye ki mein naa-paaki ko door karne ke liye ghusl kar raha hu (lafz muh se kehna zaruri nahi dil mein irada kar lena kaafi hai). Ab apne badan ki wo jagah dho lijiye jaha gandagi lagi hai, phir jese wuzu karte hain, pura wuzu kar lijiye, lekin ghusl ke wuzu mein garare karna zaruri hai (agar roza ho to garara na karen). Jab pura wuzu kar chuke to 3 baar sidhe kaandhe par paani daaliye, phir 3 baar ulte kaahnde par paani daaliye, phir 3 baar sar par pani daliye, iske baad pure badan par paani bahaiye, aur phir pure badan ko haath se ragadiye, agar sabun (soap) laga rahe ho to yu bhi ragadna ho jaata hai isliye phir alag se ragadne ki zarurat nahi, ragadne ki wajah ye hai ki pure badan par paani fail jaaye, ek baal ke barabar bhi jagah sukhi na rahe, agar sukhi rah gai to ghusl pura na hoga. isliye har jagah paani pahuchane ki koshish kariye, apni baglo mein, baalo mein, pet ki naaf mein, tango ke beech mein piche ki taraf aur aage ki taraf, yaani sab jagah paani pahuch jaaye, ladkiya apne kaano ki baaliyo aur naak ki nath ko paani daal kar ghumaye taaki paani andar tak chala jaaye, agar anguthi pahani hain to anguthi ko aage piche kare. Jab ye yakeen ho jaaye ki paani sab jagah pahuch gaya aur koi bhi hissa sukha na raha to ab aapka ghusl ho gaya. aur aap paak ho gaye. Agar ladki ne nail-polish laga rakhi hai to uska naakhun se nail polish ko saaf karne ke baad hi ghusl kare kyonki nail-polish ki wajah se nakhun par paani nahi jaaega, isliye ghusl nahi ho paata. Agar ghusl ko sahi tarike se nahi kiya gaya to insan agar poore dariya (sea) ke paani se bhi naha le to paak nahi hoga.

upar jo ghusl ka tarika bataya hai wo sunnat tarika hai, agar time kam ho to farz tarike se bhi ghusl kiya ja sakt hai lekin sunnat tarike se ghusl karne ka sawab zyada hai

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

MAIYAT KO GHUSL DENE KA TARIQA