Hasad sirf Do Baaton Me Jayaz Hai

Hasad Sirf Do Baaton Me Jayaz..



Mafhoom-e-Hadees: Abdullah Bin Mas'ud (RaziAllahu Anhu) Se Riwayat Hai Ki,
Rasool'Aallahu (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ne Farmaya –
“Hasad Sirf Do Baato Me Jayaz Hai,..”
(1). (Ek) Tou Uss Shakhs Ke Baare Me JiseY Allah Ta’ala Ne Doulat Di Ho
Aur Wo Uss Doulat Ko Raah-e-Haq Me Kharch Kare,… Aur,
(2). (Dusra) Uss Shakhs Ke Baare Me Jise Allah Ta’ala Ne Hikmat Di Ho
Aur Wo Uskey Jariye Faisley Karta Ho Aur Logo Ko Uski Taalim Deta Ho”.
– (Sahih Bukhari, Ilm Ka Bayan, 73)

# Sabaq: Lihaza Iss Tarha Ke Hasad Karna jayaz Hai Ke Kisi Ne Allah Ki Dee Hui Doulat Allah Hi Ki Raah Me Khuloosiyat Se Takseem Kardi Jo Ke Ham Bhi Karna Chahenge.
– Thik Usi Tarha Ke Koi Allah Ta’ala Ki Ata Ki Hui Neymato Ke Sabab Logon Me Insaf Se Faisle Karta Ho Aur Neki Ki Taraf Bhalayi Ka Huqm Deta Ho Tou Aise Baato Par Bhi Hasad Karna Jayaz Hai.

Comments

Popular posts from this blog

GHUSL KA SAHI TARIQA

MAIYAT KO GHUSL DENE KA TARIQA