Posts

Showing posts from February, 2020

Aaj Ki Hadees

Image
Hazrat Nawwas Bin Saman Ansari Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ se naiki aur gunah ke baare mein poocha: Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Naiki achchhe aklaaq ka naam hai aur gunah wo hai jo tumhare dil mein khatke aur tumhe ye baat na pasand ho ke logon ko iski khabar ho. (Muslim: 6516)

Who is Allah (swt)?

Image
Some of The biggest misconceptions that many non-Muslims have about Islam have to do with the word "ALLAH". For various reasons, many people have come to believe that Muslims worship a different God than Christians and Jews. This is totally false, since "ALLAH" is simply that Arabic word for "God" - and there is only One God. Muslims worship the God of Noah, Abraham, Moses, David and Jesus - peace be upon them all. However, it is certainly true that Jews, Christians and Muslims all have different concepts of Almighty God.  For example, Muslims - like Jews - reject the Christians beliefs of the Trinity and the Divine Incarnation.  First of all, it is important to note that "ALLAH" is the same word that Arabic-speaking Christians and Jews use for God. If you pick up an Arabic Bible, you will see the word "ALLAH" being used where "God" is used in English. This is because "ALLAH" is the only word in the Arabi

Ek Musalman Ke Dusre Musalman Par Kitne Haq Hain❓

Image
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwayat hai ke Maine Rasullulah ﷺ ko ye irshad farmate hue suna: Ek Musalman ke dusre musalman par paanch haq hain: Salaam ka jawaab dena, beemar ki iyaadat karna, janaze ke saath jaana, dawat qubool karna aur chheenk ne waale ke jawab mein "Yarhamukallah" kehna.  (Bukhari: 1240)

Aaj Ki Hadees

Image
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Chhota bade ko Salaam kare, guzarne waala baithe hue ko Salaam kare aur thode aadmi zyaada aadmiyon ko Salaam Karein. (Bukhari: 6231)

Tum Tab Tak Jannat Me Nahi Ja Sakte.. ❓

Image
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya: Tum jannat mein nahin jaa sakte, jab tak momin na ho jao (yani tumhari zindagi imaan waali zindagi na ho jaye) aur tum us waqt tak momin nahi ho sakte, jab tak aapas mein ek dusre se mohabbat na karo. Kya main tumhe wo amal na batadun jiske karne se tumhare darmiyaan mohabbat paida hojaye? (wo ye hai ke) Salaam ko aapas mein khoob phailao.  (Muslim: 194)

Makhlooq ke dil mein mohabbat

Allah Ta'ala ne apne Rasool ﷺ se irshaad farmaaya (Tarjama): Beshak jo log Imaan laye aur unho ne naik amal kiye Allah Ta'ala un keliye makhlooq ke dil mein mohabbat paida kareingey. (Maryam 19: 96)

Aaj Ki Hadees

Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Jo musalmaan kisi musalmaan ki subah ko iyaadat karta hai to shaam tak sattar (70) hazaar farishte uske liye dua karte rehte hain aur jo shaam ko iyaadat karta hai to subah tak sattar hazar farishte uske liye dua karte rehte hain aur use jannat mein ek baagh miljaata hai. (Tirmizi: 969)

Jisne Allah Ta'ala aur unke Rasool ki baat maani

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur jisne Allah Ta'ala aur unke Rasool ki baat maani, us ne badi kaamiyabi hasil ki. (Al-Ahza'ab 33: 71)

Allah Ta'ala Tum Se Mohabbat Karega

Allah Ta'ala ne apne Rasool ﷺ se irshaad farmaya (Tarjama): Aap keh dijiye ke agar tum Allah Ta'ala se mohabbat karte ho to tum meri farmabardaari karo aur Allah Ta'ala tum se mohabbat karega aur tumhare sab gunah bakhsh dega aur Allah Ta'ala bahut bakhshne waale meharbaan hain. (Al-Imran 3: 31)

Aaj Ki Hadees

Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs apni jagah se (kisi zaroorat se) utha aur phir waapas aagaya to us jagah (baithne) ka wohi shakhs zyaada haqdaar hai. (Muslim: 5689)

Jab Kisi Bimaar K Pass Jao To...

Hazrat Umar Bin Khattab Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne mujhse irshaad farmaaya: Jab tum bimaar ke paas jao to usse kaho ke wo tumhare liye dua kare, kyunki uski dua farishton ki dua ki tarah (qubool hoti) hai. (Ibne Maajah: 1441)

Jo kuch tumhare paas duniya mein hai woh ek din khatm ho jayega

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Jo kuch tumhare paas duniya mein hai woh ek din khatm hojayega aur jo amal tum Allah Ta'ala ke paas bhej doge woh hamesha baaqi rahega.  (Al-Nahl 16: 96)

JAAN BUJH KAR APNI JISM KI NUMAISH KARNA❓

NABI KAREEM Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya Jis gair aurat ko jan bujh kar dekha jaye aur jo aurat apne ko jan bujh kar gair mardo ko dikhlaye us mard aur aurat par Allah ki la’anat. (Mishkat sharif Jild 2,Hadees 2991,Safa 77)

Gunahgaar Ki Neymat Dekh Kar Rask Na Karo Kyuki.. ❓

Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai: ❝Jab Tu Dekhe ke Allah Ta'ala kisi Gunehgaar ko uske Gunaaho ke Bawajood uski chahat par Duniya ki Cheezein de raha hai, tou ye Allah Ta'ala ki taraf se Dheel hai.❞ 📕 Musnade Ahmad Ek aur Riwayat me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: ❝Tum kisi Gunehgaar ko Neymaton me dekh kar Ispar Rashk na karo, Tumhe maloom nahi Mout ke baad iske saath kya hone wala hai.❞ 📕 Tibrani Sharif

Galat hone ka ilm hone ke bawajood Naahaq Jhagda kare..❓

Abdullah ibn Umar (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone ke bawajood Naahaq Jhagda kare, woh jhagde se Nikalne tak Allah ke Gazab me rehta hai.” 📕 Abu Dawood 3597

Ring Pahenne ka Hukm अंगूठी पहनने का हूकुम

अंगूठी पहनने का हूकुम ✨==========✨ بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم اَلْحَمْدُ لِلّهِ رَبِّ الْعَالَمِيْن،وَالصَّلاۃ وَالسَّلامُ عَلَی النَّبِیِّ الْکَرِيم وَعَلیٰ آله وَاَصْحَابه اَجْمَعِيْن۔ अंगूठी पहनने का हूकुम सोने की अंगूठी: हुज़ूर अकरम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम की वाजेह तालीमात की रौशनी में उलमा का इत्तिफाक है कि सोने की अंगूठी औरतों के लिए पहनना जायज़ है लेकिन मर्द के लिए हराम है जैसा कि मशहूर मुहद्दिस इमाम नववी और हाफिज़ इबनुल बर ने इस मसला में इजमा-ए-उम्मत जिक्र किया है। हाँ इब्तिदा-ए-इस्लाम में मर्द के लिए सोने की अंगूठी पहनना जायज थी इसी वजह से बाज साहाबा-ए-कराम के सोने की अंगूठी पहनने के वाक्यात किताबों में मिलते हैं लेकिन बाद में हराम कर दी गई। गर्जकि पूरी उम्मते मुस्लिमा का इत्तिफाक है कि कयामत तक मर्द के लिए सोने की अंगूठी पहनना जायज़ नही है। हुज़ूर अकरम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने इरशाद फरमाया कि मेरी उम्मत की औरतों के लिए सोना और रेशम हलाल है लेकिन मेरी उम्मत के मर्द हजरात के लिए हराम है। (मुसनद अहमद) चांदी की अंगूठी: सोने की तरह चांदी की अंगूठी पहनना औरतों के लिए जायज

Khane ka Sunnat Tariqa

Aap ne farmaaya:"Main Aise Khata Hoon Jaise Gulaam Khaataa Hai Aur Aise Baithtaa Hoon Jaise Ghulam  Baithtaa Hai." [Abu Yalaa, Musnad-e-Ayshaah]

Jaanwaro ki zakat na dene walo par azab

✦ Mafhum-e-Hadith : Jaanwaro ki zakat na dene walo par azab -------------- ✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Oonth Qayamat ke din Apne un Malikon ke paas ussay zyada motte taze ho ker aaenge (Jaise duniya mein they) jinhone unka Haq adaa nahi Kiya(yani zakat nahi di) aur Inhein Apne khuro se rondenge, bakriyah bhi Apne Malikoh ke paas jinhone unka Haq nahi diya tha pehle se zyada moti tazi ho Kar aayengee aur unhein Apne khuro se rondengi aur apne seengoh se maarengi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke uska haq ye bhi hain Ke ussay Pani hi par (Yani jaha wo charagah Mai char rahi ho) doha Jaye

Sari raat Namaz padhne ka sawab

✦ Mafhum-e-Hadith : Sari raat Namaz padhne ka sawab ------- ✦ Abu Dhar Radi Allahu Anhu se riwayat hain Rasool-Allah Sallallahu Alahai Wasallam ne farmaya Jisne (Ramzan mein) Imam ke sath Qayam shuru Kiya aur Qayam khatam hone tak uske saath namaz padhta raha to uske liye sari raat ke Qayam ka sawab likha jaega Jamia Tirmizi, Jild 1, 784-Sahih ✦ Notes : Ulmao ka kahna hai ki jo log masjid mein (Taraweeh ya Qayam Al Lail ki) Jamat khadi ho jane ke baad aate hain ya phir kuch rakaat padh kar bhag jate hain wo sari raat ke qayam ke is sawab se mehrum rah jate hain

Narmi se Pesh aana

Hazrat Jarir Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya: Jo shakhs narmi (ki sifat) se mehroom raha, wo (saari) bhalayi se mehroom raha.  (Muslim: 6598)

Musibat Zada Ko Tasalli Dene Se Kya Milta Hai❓

Image
Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu riwayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya: Jo shakhs kisi musibat zada ko tasalli deta hai, to usko musibat zada ki tarah sawaab milta hai. (Tirmizi:1073)

Janaze Ki Namaz Me 100 Se Zyada Log Honge To Kya Hoga ❓

Image
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha riwayat karti hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaya: Jis mayyat par musalmano ki ek badi jama'at Namaaz padhe jinki tadad sau (100) tak pahunch jaye aur wo sab Allah Ta'ala se mayyat ke liye sifarish karein, yani maghfirat wa rehmat ki dua karein to unki sifaarish zaroor qubool hogi. (Muslim: 2198) 

Kiski Namaz 40 Din Tak Qubool Nhi Hoti

Image

Nashe Ki Wajah Se Namaz Chhorna

Image

Jumma K Din Gusl Karne K Fayde

Image

AURTON KA CHAND BATON PE AMAL

Image
Rasullullah sallallahu Alayhe Wasallam ne farmaye-Agar Aurat 5 waqt namaz padhe Aur ramzan shareef ke roza rakhe Aur Apni sharmgah ki hifazat kre aur Apni shauhar ki farmabardari kre to qyamat ke din Usse kaha jayega tum jannat ke jis Darwaje se chaho jannat me dakhil ho skti ho. ..

EK MOMIN DUSRE MOMIN KA KYA HAI❓

Image
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Ek momin dusre Momin ka aaina hai aur ek Momin dusre momin ka bhai hai, uske nuqsaan ko usse rokta hai aur uski har taraf se hifaazat karta hai.  (Abu Dawud: 4918) !---This html code Edited and Designed By Humail Khan-----> Share on Whatsapp