Posts

Showing posts from 2020

GHUSL KA SAHI TARIQA

Image
  Agar kisi ko khwab mein gandagi nikal jaati hai (wet dream), ya haath se koi gandagi nikaal deta hai – masturbate (haath se nikalna gunah hai), ya miya-biwi saath  humbistari karte hain, ya ladki periods  (menstrual) ho jaati hai to uske baad wo na-paak ho jaate hain, iske liye ghusl karna zaruri ho jata hai. Naa-paak hone ke baad insan na namaz padh sakte hain na Quran sharif ko haath laga sakta hain, isliye na-paak hone ke baad ghusl karna (nahana) zaruri hai, ghusl jitni jaldi kar lo utna accha hai. Ghusl sirf saade nahane ko nahi kahte balki ghusl ka ek khaas tarika hota hai. Ghusl sunnat tariqe se bhi ho jaata hai aur agar sirf uske farz bhi pure kar liye to ghusl ho jayega, Mujhe jo aasan tarika laga mein wo bata raha hu. Sabse pahle dil mein niyat kar lijiye ki mein naa-paaki ko door karne ke liye ghusl kar raha hu (lafz muh se kehna zaruri nahi dil mein irada kar lena kaafi hai). Ab apne badan ki wo jagah dho lijiye jaha gandagi lagi hai, phir jese wuzu karte hain, pura wuzu

ज़कात के मसाइल ज़कात के मानी

Image
بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم اَلْحَمْدُ لِلّهِ رَبِّ الْعَالَمِيْن،وَالصَّلاۃ وَالسَّلامُ عَلَی النَّبِیِّ الْکَرِيم وَعَلیٰ آله وَاَصْحَابه اَجْمَعِيْن۔ ज़कात के मसाइल ज़कात के मानी  ज़कात के मानी पाकीज़गी, बढ़ौतरी और बरकत के हैं। अल्लाह तआला ने इरशाद फरमाया “उनके माल से ज़कात लो ताकि उनको पाक करे और बाबरकत करे उसकी वजह से और दुआ दे उनको।” (सूरह तौबा 103) शरई इस्तेलाह में माल के उस खास हिस्से को ज़कात कहते हैं जिसको अल्लाह तआला के हुकुम के मुताबिक़ फकीरों, मोहताजों वगैरह को देकर उन्हें मालिक बना दिया जाए। ज़कात का हुकुम ज़कात देना फर्ज़ है, क़ुरान करीम की आयात और हुज़ूर अकरम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम के इरशादात से इसकी फर्ज़ियत साबित है। जो शख्स ज़कात के फर्ज़ होने का इंकार करे वह काफिर है। ज़कात की फर्ज़ियत कब हुई ज़कात की फर्ज़ियत इब्तिदाए इस्लाम में ही मक्का के अंदर नाज़िल हो चुकी थी जैसा कि इमाम तफसीर इब्ने कसीर ने सूरह मुज़्ज़म्मिल की आयत से इस्तिदलाल फरमाया है। क्योंकि यह सूरत मक्की है और बिल्कुल इब्तिदाए वही के ज़माने की सूरतों में से है, अलबत्ता अहादीस से मालूम

साइंस की रिसर्च की रोशनी में तिलावते क़ुरआन के फायदे The Scientific Bene...

Image

Surah Baqara Ayat 4 to 6 Tilawat, Tarjama, Tafseer Sune Aur dusre Ko Su...

Image

ROZEDAAR KE LIYE DO KHUSHIYAAN

Image
RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAYHE WASALLAM NE IRSHAAD FARMAYA: Rozedaar ke liye do khushiyaan hasil hoti hai,  Ek us waqt jab wo iftaar karta hai to khushi mehsoos krta haI Aur dusra jab wo apni Rab se mulakaat krega to roze ka shwaab dekh kar khus ho jayega.  (SHAHI BUKHARI SHAREEF)

BUKHARI SHAREEF-6981

Image
Allah ke Rasool SALLALLAHU ALAYHE WASALLAM ne irshaad farmaya:Jannat ke ek darwaja hai jise Rayaan kehte hai. Us darwaje se kayaamat ke din Rozadaar hi daakhil honge.

Surah Baqara Aayat No 1 to 3...Quran ki sirf 3 Aayat Tarjuma K Sath Sune...

Image

Jo shakhs Subah Aur Sham Madjid Jata Hai

Image
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu 'anhu se riwaayat hai ke RasoolAllah  ﷺ ne irshaad farmaya: Jo shakhs subah aur shaam masjid jaata hai Allah Ta'ala uske liye jannat mein mehmaani ka intezaam farmaate hain jitni martaba subah ya shaam masjid jaata hai utni hi martaba Allah Ta'ala uske liye mehmaani ka intezaam farmaate hain.  (Bukhari: 662)

SALATUL TASBEEH NAMAZ KI FAZILAT AUR PADHNE KA TARIQA

Image
SALATUL TASBEEH KI FAZILAT O TARIQA HUZOOR E AKRAM ﷺ ne apne chacha hazrat abbas رضي الله عنه ko is namaz ki targheeb farmayi, is namaz k padhne se ALLAH TA’ALA padhne waley k agley pichle, naye puraney, ghalti se aur jaan boojh kar kiye huye chote badey aur zahiri aur poshida sab gunah bakshdega Aur HUZOOR E AKRAM ﷺ ne inhey farmaya k agar har roz ek baar padh sakey to har roz padhle aur agar har roz nahi padh sakey to har jumu’a me ek martaba padhle aur agar har jumu’a me bhi na padh sakey to har mahine me ek baar padhley aur agar ye bhi na kar sakey to har saal me ek martaba padhley aur agar ye bhi na kar sakey to tamaam umr me ek dafa padhley. (ABU DAWOOD, IBNE HAKI, IBNE MAAJA) TARIQA: Is namaz ki tasbeeh, سبحان الله والحمدلله ولااله الاالله والله اكبر. Chaar rakaat salatul tasbeeh ki niyaat se chaar rakaat ek salaam se padhey. Sana padhne k baad اعوذ بالله من الشیطان الرجیم aur بسم الله الرحمن الرحيم se pehle 15 martaba tasbeeh padhey (jo upar di gayi hai)

Jannat Ka Anokha Darakht (Hindi)

Image
Click Here To Download

Jannat Ka Anokha Darakht (Urdu)

Image
Click here to Download

CORONA VIRUS Se Darne Wale Is Video Ko Zaroor Dekhe

Image

Aaj Ki Hadees

Image
Hazrat Nawwas Bin Saman Ansari Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ se naiki aur gunah ke baare mein poocha: Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Naiki achchhe aklaaq ka naam hai aur gunah wo hai jo tumhare dil mein khatke aur tumhe ye baat na pasand ho ke logon ko iski khabar ho. (Muslim: 6516)

Who is Allah (swt)?

Image
Some of The biggest misconceptions that many non-Muslims have about Islam have to do with the word "ALLAH". For various reasons, many people have come to believe that Muslims worship a different God than Christians and Jews. This is totally false, since "ALLAH" is simply that Arabic word for "God" - and there is only One God. Muslims worship the God of Noah, Abraham, Moses, David and Jesus - peace be upon them all. However, it is certainly true that Jews, Christians and Muslims all have different concepts of Almighty God.  For example, Muslims - like Jews - reject the Christians beliefs of the Trinity and the Divine Incarnation.  First of all, it is important to note that "ALLAH" is the same word that Arabic-speaking Christians and Jews use for God. If you pick up an Arabic Bible, you will see the word "ALLAH" being used where "God" is used in English. This is because "ALLAH" is the only word in the Arabi

Ek Musalman Ke Dusre Musalman Par Kitne Haq Hain❓

Image
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwayat hai ke Maine Rasullulah ﷺ ko ye irshad farmate hue suna: Ek Musalman ke dusre musalman par paanch haq hain: Salaam ka jawaab dena, beemar ki iyaadat karna, janaze ke saath jaana, dawat qubool karna aur chheenk ne waale ke jawab mein "Yarhamukallah" kehna.  (Bukhari: 1240)

Aaj Ki Hadees

Image
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaaya: Chhota bade ko Salaam kare, guzarne waala baithe hue ko Salaam kare aur thode aadmi zyaada aadmiyon ko Salaam Karein. (Bukhari: 6231)

Tum Tab Tak Jannat Me Nahi Ja Sakte.. ❓

Image
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Rasoolullah ﷺ ne irshaad farmaya: Tum jannat mein nahin jaa sakte, jab tak momin na ho jao (yani tumhari zindagi imaan waali zindagi na ho jaye) aur tum us waqt tak momin nahi ho sakte, jab tak aapas mein ek dusre se mohabbat na karo. Kya main tumhe wo amal na batadun jiske karne se tumhare darmiyaan mohabbat paida hojaye? (wo ye hai ke) Salaam ko aapas mein khoob phailao.  (Muslim: 194)

Makhlooq ke dil mein mohabbat

Allah Ta'ala ne apne Rasool ﷺ se irshaad farmaaya (Tarjama): Beshak jo log Imaan laye aur unho ne naik amal kiye Allah Ta'ala un keliye makhlooq ke dil mein mohabbat paida kareingey. (Maryam 19: 96)

Aaj Ki Hadees

Hazrat Ali Raziyallahu Anhu farmaate hain ke maine Rasulullah ﷺ ko ye irshaad farmaate hue suna: Jo musalmaan kisi musalmaan ki subah ko iyaadat karta hai to shaam tak sattar (70) hazaar farishte uske liye dua karte rehte hain aur jo shaam ko iyaadat karta hai to subah tak sattar hazar farishte uske liye dua karte rehte hain aur use jannat mein ek baagh miljaata hai. (Tirmizi: 969)

Jisne Allah Ta'ala aur unke Rasool ki baat maani

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Aur jisne Allah Ta'ala aur unke Rasool ki baat maani, us ne badi kaamiyabi hasil ki. (Al-Ahza'ab 33: 71)

Allah Ta'ala Tum Se Mohabbat Karega

Allah Ta'ala ne apne Rasool ﷺ se irshaad farmaya (Tarjama): Aap keh dijiye ke agar tum Allah Ta'ala se mohabbat karte ho to tum meri farmabardaari karo aur Allah Ta'ala tum se mohabbat karega aur tumhare sab gunah bakhsh dega aur Allah Ta'ala bahut bakhshne waale meharbaan hain. (Al-Imran 3: 31)

Aaj Ki Hadees

Hazrat Abu Huraira Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Jo shakhs apni jagah se (kisi zaroorat se) utha aur phir waapas aagaya to us jagah (baithne) ka wohi shakhs zyaada haqdaar hai. (Muslim: 5689)

Jab Kisi Bimaar K Pass Jao To...

Hazrat Umar Bin Khattab Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne mujhse irshaad farmaaya: Jab tum bimaar ke paas jao to usse kaho ke wo tumhare liye dua kare, kyunki uski dua farishton ki dua ki tarah (qubool hoti) hai. (Ibne Maajah: 1441)

Jo kuch tumhare paas duniya mein hai woh ek din khatm ho jayega

Allah Ta'ala ka irshaad hai (Tarjama): Jo kuch tumhare paas duniya mein hai woh ek din khatm hojayega aur jo amal tum Allah Ta'ala ke paas bhej doge woh hamesha baaqi rahega.  (Al-Nahl 16: 96)

JAAN BUJH KAR APNI JISM KI NUMAISH KARNA❓

NABI KAREEM Sallalahu Alayhi Wasallam ne irshad farmaya Jis gair aurat ko jan bujh kar dekha jaye aur jo aurat apne ko jan bujh kar gair mardo ko dikhlaye us mard aur aurat par Allah ki la’anat. (Mishkat sharif Jild 2,Hadees 2991,Safa 77)

Gunahgaar Ki Neymat Dekh Kar Rask Na Karo Kyuki.. ❓

Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) farmatey hai: ❝Jab Tu Dekhe ke Allah Ta'ala kisi Gunehgaar ko uske Gunaaho ke Bawajood uski chahat par Duniya ki Cheezein de raha hai, tou ye Allah Ta'ala ki taraf se Dheel hai.❞ 📕 Musnade Ahmad Ek aur Riwayat me Aap (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne farmaya: ❝Tum kisi Gunehgaar ko Neymaton me dekh kar Ispar Rashk na karo, Tumhe maloom nahi Mout ke baad iske saath kya hone wala hai.❞ 📕 Tibrani Sharif

Galat hone ka ilm hone ke bawajood Naahaq Jhagda kare..❓

Abdullah ibn Umar (R.A.) se riwayat hai ke, Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya: “Jo Shakhs Muamle ke Galat hone ka ilm hone ke bawajood Naahaq Jhagda kare, woh jhagde se Nikalne tak Allah ke Gazab me rehta hai.” 📕 Abu Dawood 3597

Ring Pahenne ka Hukm अंगूठी पहनने का हूकुम

अंगूठी पहनने का हूकुम ✨==========✨ بِسْمِ اللهِ الرَّحْمنِ الرَّحِيْم اَلْحَمْدُ لِلّهِ رَبِّ الْعَالَمِيْن،وَالصَّلاۃ وَالسَّلامُ عَلَی النَّبِیِّ الْکَرِيم وَعَلیٰ آله وَاَصْحَابه اَجْمَعِيْن۔ अंगूठी पहनने का हूकुम सोने की अंगूठी: हुज़ूर अकरम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम की वाजेह तालीमात की रौशनी में उलमा का इत्तिफाक है कि सोने की अंगूठी औरतों के लिए पहनना जायज़ है लेकिन मर्द के लिए हराम है जैसा कि मशहूर मुहद्दिस इमाम नववी और हाफिज़ इबनुल बर ने इस मसला में इजमा-ए-उम्मत जिक्र किया है। हाँ इब्तिदा-ए-इस्लाम में मर्द के लिए सोने की अंगूठी पहनना जायज थी इसी वजह से बाज साहाबा-ए-कराम के सोने की अंगूठी पहनने के वाक्यात किताबों में मिलते हैं लेकिन बाद में हराम कर दी गई। गर्जकि पूरी उम्मते मुस्लिमा का इत्तिफाक है कि कयामत तक मर्द के लिए सोने की अंगूठी पहनना जायज़ नही है। हुज़ूर अकरम सल्लल्लाहु अलैहि वसल्लम ने इरशाद फरमाया कि मेरी उम्मत की औरतों के लिए सोना और रेशम हलाल है लेकिन मेरी उम्मत के मर्द हजरात के लिए हराम है। (मुसनद अहमद) चांदी की अंगूठी: सोने की तरह चांदी की अंगूठी पहनना औरतों के लिए जायज

Khane ka Sunnat Tariqa

Aap ne farmaaya:"Main Aise Khata Hoon Jaise Gulaam Khaataa Hai Aur Aise Baithtaa Hoon Jaise Ghulam  Baithtaa Hai." [Abu Yalaa, Musnad-e-Ayshaah]

Jaanwaro ki zakat na dene walo par azab

✦ Mafhum-e-Hadith : Jaanwaro ki zakat na dene walo par azab -------------- ✦ Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Oonth Qayamat ke din Apne un Malikon ke paas ussay zyada motte taze ho ker aaenge (Jaise duniya mein they) jinhone unka Haq adaa nahi Kiya(yani zakat nahi di) aur Inhein Apne khuro se rondenge, bakriyah bhi Apne Malikoh ke paas jinhone unka Haq nahi diya tha pehle se zyada moti tazi ho Kar aayengee aur unhein Apne khuro se rondengi aur apne seengoh se maarengi Rasool-Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke uska haq ye bhi hain Ke ussay Pani hi par (Yani jaha wo charagah Mai char rahi ho) doha Jaye

Sari raat Namaz padhne ka sawab

✦ Mafhum-e-Hadith : Sari raat Namaz padhne ka sawab ------- ✦ Abu Dhar Radi Allahu Anhu se riwayat hain Rasool-Allah Sallallahu Alahai Wasallam ne farmaya Jisne (Ramzan mein) Imam ke sath Qayam shuru Kiya aur Qayam khatam hone tak uske saath namaz padhta raha to uske liye sari raat ke Qayam ka sawab likha jaega Jamia Tirmizi, Jild 1, 784-Sahih ✦ Notes : Ulmao ka kahna hai ki jo log masjid mein (Taraweeh ya Qayam Al Lail ki) Jamat khadi ho jane ke baad aate hain ya phir kuch rakaat padh kar bhag jate hain wo sari raat ke qayam ke is sawab se mehrum rah jate hain

Narmi se Pesh aana

Hazrat Jarir Raziyallahu Anhu riwaayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya: Jo shakhs narmi (ki sifat) se mehroom raha, wo (saari) bhalayi se mehroom raha.  (Muslim: 6598)

Musibat Zada Ko Tasalli Dene Se Kya Milta Hai❓

Image
Hazrat Abdullah Raziyallahu Anhu riwayat karte hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshad farmaya: Jo shakhs kisi musibat zada ko tasalli deta hai, to usko musibat zada ki tarah sawaab milta hai. (Tirmizi:1073)

Janaze Ki Namaz Me 100 Se Zyada Log Honge To Kya Hoga ❓

Image
Hazrat Ayesha Raziyallahu Anha riwayat karti hain ke Nabi Kareem ﷺ ne irshaad farmaya: Jis mayyat par musalmano ki ek badi jama'at Namaaz padhe jinki tadad sau (100) tak pahunch jaye aur wo sab Allah Ta'ala se mayyat ke liye sifarish karein, yani maghfirat wa rehmat ki dua karein to unki sifaarish zaroor qubool hogi. (Muslim: 2198) 

Kiski Namaz 40 Din Tak Qubool Nhi Hoti

Image

Nashe Ki Wajah Se Namaz Chhorna

Image

Jumma K Din Gusl Karne K Fayde

Image

AURTON KA CHAND BATON PE AMAL

Image
Rasullullah sallallahu Alayhe Wasallam ne farmaye-Agar Aurat 5 waqt namaz padhe Aur ramzan shareef ke roza rakhe Aur Apni sharmgah ki hifazat kre aur Apni shauhar ki farmabardari kre to qyamat ke din Usse kaha jayega tum jannat ke jis Darwaje se chaho jannat me dakhil ho skti ho. ..

EK MOMIN DUSRE MOMIN KA KYA HAI❓

Image
Hazrat Abu Hurairah Raziyallahu Anhu se riwaayat hai ke Rasulullah ﷺ ne irshaad farmaaya: Ek momin dusre Momin ka aaina hai aur ek Momin dusre momin ka bhai hai, uske nuqsaan ko usse rokta hai aur uski har taraf se hifaazat karta hai.  (Abu Dawud: 4918) !---This html code Edited and Designed By Humail Khan-----> Share on Whatsapp

NARAM DIL PE AAG HARAM

Image
Hazrat Abdullah bin maswood byan krte hai ki, Hazrat Muhammad Sallallahu Alayhe wassallam ne farmaya, kya mai tumhe btaun ke Aag kis pe haram hai, wah haram hai har shakhs par jo Allah ke bandeh se kareeb hai, Unse naram shalook karta hai, Malayemat rakhta hai, Aur unke liye shahuliyat muhayya karta hai,

Jhooti Qasam Gharo Ko Veeran (Barbad) Karke Chhorhti Hai

Image
۞ Hadees: RasoolAllah (SallAllahu Alaihi Wasallam) ne farmaya : ❝ Sila rehmi se ziyada jaldi sawab dilane wala jis mein Allah ki itaat ki jaye koi amal nahi aur Sarkashi ( Zulm ) aur qata rahmi se zyada jaldi saza dilane wala koi amal nahi, aur Jhooti Qasam  gharo ko veeran (barbad) karke chhorhti hai. ❞ 📕 Al-Silsila-tus-Sahiha Hadees-Jild 1,155 📕 Al Baihiqi, 35 /10 -Sahih 📕 At Tabrani, 1996-Sahih Share on Whatsapp

AURAT KE PICHE NA JANA

Image
Sayyedna dawood alayeislam ne apne bete ko nasihat farmaye-Beta tm sher(lion) ke piche ja skta hai, kale sanp (black snake) ke piche ja skta hai lekin kvi kisi aurat ke piche na jana Q ki sher aur sanp k piche jane se jyada se jyada jaan jane ka khatra hai magar aurat ke piche jane se IMMAN Ka  khatra hai,

MURGH K AZAN AUR ALLAH KE FAZAL

Image
Hazrat Abuhuraiyah rajiAllah Anhu ne byan kiya ke Salallahu Alayhe wasallam ne farmaye, Jab Murgh ke bangh suno to Allah se uske fazal ka sawal kiya kro q ki usne farishton ko dekha hai Aur jab gadhe (Ass)ke awaz suno to saytan se Allah Ka panah mango q ki usne saytan ko dekha hai,

Rasoolullah Sallallahu Alayhe wasallam ki NASIHAT

Image
Rasoolullah Sallallahu Alayhe wasallam ne farmaya-Dusro ki Aurton se door rho,Tumhari Aurtein v pak daman rhengi, Aur apne Walidain k sath Husn salook kro Tumhari Aulad v tum se husn salook krenge,

ASTAGFAR KI DUA

Image
Astaghfar ki Duaein: ۞ Hadees: Aap (ﷺ) ne farmaya: jis shaks ne kaha: 1. “Astaghftrullaahal-lazee laa ilaaha illaa Huwal-Hayyul-Qayyooinu wa atoobn ilayhi” “Main Allah se bakhshish talab karta hoon jis ke elaawah koi sachcha mabood nahin, woh humesha zindah rahne wala hai, qaayim rakhne waala hai aur main usi ki taraf taubah karta hoon.” tou Allah ta’ala use bakhsh dega chaahe woh maidaane jehad se bhaaga ho. Share on Whatsapp

SHORT HADEES

Image
→Farmane Rasool E Khuda Sallallahu Alaihi Wa Salam.. 1.Naumoos subhati yam naoos rizqa. →Subah ke waqt sona rizk ko rokta hain. 2.Assalamu Qablal kalaam. →Baat karne se pehle Salam kiya karo. 3.Attahooru shatrul imaan. →Paaki adha Imaan hai 4.Alwazu niftahus'salat. →Wazu namaz ki kunji hain. 5.Assalatu imatud'deen. →Namaz deen ka sukoon hain. 6. Ad dua'oo mukhlul ibadati. →Duaa ibadat ka magz hain. 7. Afzalul ibadati kiraatul Qur'an. →Qur'an ki tilawat behtareen ibadat hain. 8.Akrimal kubza. →Roti ki izzat kiya karo. 9.Al aklu fis' sooki danaa tun. →Bazaar mein khana halke pan ki nishani. 10.Ishrabul ma'aa ayunakum. →Pani dekh kar piya karo. Share on Whatsapp

Beshak Momin Shahad ki Makkhi Ki Tarah Hai

Image
RASULULLAH SALLALAHU ALAYHE WASALLUM NE FARMAYE -Beshak Momin shahad ke makkhi ki trah hai, jo phool jaisi pakeeja chiz khati hai, aur shahad jaisi meetha chiz nikalti hai, Aur wo jab kisi chiz pe baithti hai to na use todti hai aur na khrab krti hai. Share on Whatsapp

ZAMEEN PE NAHAK KABZA

Image
RASULULLAH SALLALAHU ALAYHE WAS ALL AM ne farmaya, Jisne jra si zameen pe NAHAK kabza kar li to Qyamat ke din 7 zameeno tak dhasaya jayega  Share on Whatsapp

RIZQ ME IZAFA

Image
RASULULLAH SALLALAHU ALAIHE WASALLAM ne farmaya-Jis shaks ko ye pasand ho ke wo umardraj ho Aur uske rizq m ijafa ho to  use chahea ki wo Apni walidain ke sath Neik shaluk kre, Share on Whatsapp

Qabra Pe Mitti Dalne Ki Dua

Image
Qabr Ko 3 Baar Mitti Dene Ki Dua : Pahli Baar - Minha Khalak Nakum, Dusri Baar - Wa Fihaa Noidokum, Tisri Baar - Wa Minha Nukhre Jokum Taratan Ukhra. कब्र में मिट्टी डालने की दुआ मिन्हा खलक्नाकुम वफ़ीहा नुइदुकुम व मिन्हा नुख़ रिजुकुम तारतन उखरा तरजुमा : ज़मीन ही से हम ने तुम को पैदा किया है, उसी में तुम को वापस ले जायेंगे और उसी से फिर दोबारा तुमको निकालेंगे Share on Whatsapp

Parda❓

Image

Afsos or sochne wali ....

Image
Image
Angrezi new year manana aur wish karna ye dono haram hai....Aaj musalman is bimari me mubtila hai ise Islam k naye sal ka pata nahi hota lkn ye Musalman angrezi new year badi dhoom se manate hai (Astagfirullah ) ...Aisa karne wale Musalman k liye sakht wayidhai aise musalman ko ALLAH uske pyare RASOOL (sallallaho alaihe wasallam) pasand nhi karte... Sunan Abu-Dawood Hadith 4020 ...Abdullah ibn Umar riwayat karte hai ALLAH k NABI (sallallaho alaihe wasallam) ne irshad frmaya jo jis qaum ki chezon ko apnayega wo usi mese hai.... Yahan musalman gaur kare ye  Happy new wish karna ya manana kis Qaum ka tarika hai issayiyon ka hai agar hum inpe amal karenge to hamara ashar kya hoga..kal Qayamat hume in kafiron k sat uthaya jayega .ALLAHUAKBAR  Tirmidhi Hadith 4649 Abdullah ibn Amr ibn al-'As se riwayat hi SARKARE MADINA ne farmaya jo shaks gair kaum ki amal ko ikhtiyar karega wo hum me se nahi hai "’ ALLAH Quran me irshad farmata hai ... Waman yabtaghi ghayr